jab bhi us shakhs ko dekhaa jaae
— Amjad Islam Amjad
Jab bhee us shakhs ko dekhaa jaa.e
Kuchh kahaa jaa.e na sochaa jaa.e
Deeda-e-kor hai qarya qarya
Aa.ina kis ko dikhaayaa jaa.e
Daaman-e-ahd-e-wafa kya tha main
Dil hee haathon se jo niklaa jaa.e
Dard-mandon se taghaaful kab tak
Us ko ehsaas dilaayaa jaa.e
Kyaa wo itnaa hee haseen lagtaa hai
Is ko nazdeek se dekhaa jaa.e
Vo kabhi sur hai kabhi rang 'amjad'
Us ko kis naam se DhoonDaa jaa.e
Jab bhi us shaKHs ko dekha jae
Kuchh kaha jae na socha jae
Dida-e-kor hai qarya qarya
Aaina kis ko dikhaya jae
Daman-e-ahd-e-wafa kya tha main
Dil hi hathon se jo nikla jae
Dard-mandon se taghaful kab tak
Us ko ehsas dilaya jae
Kya wo itna hi hasin lagta hai
Is ko nazdik se dekha jae
Wo kabhi sur hai kabhi rang 'amjad'
Us ko kis nam se DhunDa jae