kamaal e husn hai husn e kamaal se baahar

Amjad Islam Amjad

Kamaal-e-husn hai husn-e-kamaal se baahar Azal kaa rang hai jaise misaal se baahar To phir wo kaun hai jo maavaraa hai har shai se Naheen hai kuch bhee yahaan gar khayaal se baahar Ye kaa.enaat saraapaa javaab hai jis kaa Vo ik savaal hai phir bhee savaal se baahar Hai yaad ahl-e-vatan yuun ki reg-e-saahil par Giree huee koi machhlee ho jaal se baahar Ajiib silsila-e-rang hai tamannaa bhee Had-e-urooj se aage zavaal hai baahar Na us kaa ant hai koi na isti.aara hai Ye daastaan hai hijr-o-visaal se baahar Duaa buzurgon kee rakhtee hai zakhm ulfat ko Kisee ilaaj kisee indimaal se baahar Bayaan ho kis tarah wo kaifiyat ki hai 'amjad' Miree talab se faraavaan majaal se baahar Kamal-e-husn hai husn-e-kamal se bahar Azal ka rang hai jaise misal se bahar To phir wo kaun hai jo mawara hai har shai se Nahin hai kuch bhi yahan gar KHayal se bahar Ye kaenat sarapa jawab hai jis ka Wo ek sawal hai phir bhi sawal se bahar Hai yaad ahl-e-watan yun ki reg-e-sahil par Giri hui koi machhli ho jal se bahar Ajib silsila-e-rang hai tamanna bhi Had-e-uruj se aage zawal hai bahar Na us ka ant hai koi na istiara hai Ye dastan hai hijr-o-visal se bahar Dua buzurgon ki rakhti hai zaKHm ulfat ko Kisi ilaj kisi indimal se bahar Bayan ho kis tarah wo kaifiyat ki hai 'amjad' Meri talab se farawan majal se bahar