kisi ki aankh men khud ko talaash karnaa hai
— Amjad Islam Amjad
Kisee kee aankh men khud ko talaash karnaa hai
Phir us ke ba.ad hamen aa.inon se Darnaa hai
Falak kee band galee ke faqeer hain taare!
Ki ghuum phir ke yaheen se unhen guzarnaa hai
Jo zindagee thee miree jaan! tere saath ga.ee
Bas ab to umr ke naqshe men waqt bharnaa hai
Jo tum chalo to abhee do qadam men kaT jaa.e
Jo faasla mujhe sadiyon men paar karnaa hai
To kyuun na aaj yaheen par qayaam ho jaa.e
Ki shab qareeb hai aakhir kaheen Thaharnaa hai
Vo meraa sail-e-talab ho ki teree ra.anaa.ee
ChaDhaa hai jo bhee samundar use utarnaa hai
Sahar huee to sitaaron ne muund liin aankhen
Vo kya karen ki jinhen intizaar karnaa hai
Ye khvaab hai ki haqeeqat khabar nahin 'amjad'
Magar hai jiinaa yaheen par yaheen pe marnaa hai
Kisi ki aankh mein KHud ko talash karna hai
Phir us ke baad hamein aainon se Darna hai
Falak ki band gali ke faqir hain tare!
Ki ghum phir ke yahin se unhen guzarna hai
Jo zindagi thi meri jaan! tere sath gai
Bas ab to umr ke naqshe mein waqt bharna hai
Jo tum chalo to abhi do qadam mein kaT jae
Jo fasla mujhe sadiyon mein par karna hai
To kyun na aaj yahin par qayam ho jae
Ki shab qarib hai aaKHir kahin Thaharna hai
Wo mera sail-e-talab ho ki teri ranai
ChaDha hai jo bhi samundar use utarna hai
Sahar hui to sitaron ne mund lin aankhen
Wo kya karen ki jinhen intizar karna hai
Ye KHwab hai ki haqiqat KHabar nahin 'amjad'
Magar hai jina yahin par yahin pe marna hai