lahuu men rang lahraane lage hain
— Amjad Islam Amjad
Lahoo men rang lahraane lage hain
Zamaane khud ko duhraane lage hain
Paron men le ke be-haasil uDaanen
Parinde lauT kar aane lage hain
Kahaan hai qaafila baad-e-sabaa kaa
Dilon ke phuul murjhaane lage hain
Khule jo ham-nasheenon ke garebaan
Khud apne zakhm afsaane lage hain
Kuchh aisa dard tha baang-e-jaras men
Safar se qabl pachhtaane lage hain
Kuchh aisi be-yaqeenee thee fazaa men
Jo apne the wo begaane lage hain
Havaa kaa rang niilaa ho raha hai
Chaman men saanp lahraane lage hain
Falak ke khet men khilte sitaare
Zameen par aag barsaane lage hain
Lab-e-zanjeer hai taa'beer jin kee
Vo sapne phir nazar aane lage hain
Khulaa hai raat kaa taareek jangal
Aur andhe raah dikhlaane lage hain
Chaman kee baaD thee jin kaa Thikaana
Dil-e-shabnam ko dhaDkaane lage hain
Bachaane aa.e the deevaar lekin
'imaarat hee ko ab Dhaane lage hain
Khudaa kaa ghar tumheen samjho to samjho
Hamen to ye sanam-khaane lage hain
Lahu mein rang lahrane lage hain
Zamane KHud ko duhrane lage hain
Paron mein le ke be-hasil uDanen
Parinde lauT kar aane lage hain
Kahan hai qafila baad-e-saba ka
Dilon ke phul murjhane lage hain
Khule jo ham-nashinon ke gareban
KHud apne zaKHm afsane lage hain
Kuchh aisa dard tha bang-e-jaras mein
Safar se qabl pachhtane lage hain
Kuchh aisi be-yaqini thi faza mein
Jo apne the wo begane lage hain
Hawa ka rang nila ho raha hai
Chaman mein sanp lahrane lage hain
Falak ke khet mein khilte sitare
Zamin par aag barsane lage hain
Lab-e-zanjir hai ta'bir jin ki
Wo sapne phir nazar aane lage hain
Khula hai raat ka tarik jangal
Aur andhe rah dikhlane lage hain
Chaman ki baD thi jin ka Thikana
Dil-e-shabnam ko dhaDkane lage hain
Bachane aae the diwar lekin
'imarat hi ko ab Dhane lage hain
KHuda ka ghar tumhin samjho to samjho
Hamein to ye sanam-KHane lage hain