mohabbat ki ek nazm mohabbat ki ek nazm
— Amjad Islam Amjad
Mohabbat kee ek nazm
Agar kabhi meree yaad aa.e
To chaand raaton kee narm dil-geer raushnee men
Kisee sitaare ko dekh lenaa
Agar wo nakhl-e-falak se uD kar
Tumhaare qadmon men aa gire
To ye jaan lenaa wo isti.aara tha mere dil kaa
Agar na aa.e
Magar ye mumkin hee kis tarah hai
Ki tum kisee par nigaah Daalo
To us kee deevaar-e-jaan na TuuTe
Vo apnee hastee na bhuul jaa.e
Agar kabhi meree yaad aa.e
Gurez kartee havaa kee lahron pe haath rakhnaa
Main khushbuon men tumhen miloongaa
Mujhe gulaabon kee pattiyon men talaash karnaa
Main os-qatron ke aa.eenon men tumhen miloongaa
Agar sitaaron men os-qatron men khushbuon men na paao mujh ko
To apne qadmon men dekh lenaa main gard hotee masaafaton men tumhen miloongaa
Kaheen pe raushan charaagh dekho
To jaan lenaa ki har patange ke saath main bhee bikhar chukaa hoon
Tum apne haathon se un patangon kee khaak Dariya men Daal denaa
Main khaak ban kar samundaron men safar karoongaa
Kisee na dekhe hue jazeere pe
Ruk ke tum ko sadaa.en doongaa
Samundaron ke safar pe niklo
To us jazeere pe bhee utarnaa
Mohabbat ki ek nazm
Agar kabhi meri yaad aae
To chand raaton ki narm dil-gir raushni mein
Kisi sitare ko dekh lena
Agar wo naKHl-e-falak se uD kar
Tumhaare qadmon mein aa gire
To ye jaan lena wo istiara tha mere dil ka
Agar na aae
Magar ye mumkin hi kis tarah hai
Ki tum kisi par nigah Dalo
To us ki diwar-e-jaan na TuTe
Wo apni hasti na bhul jae
Agar kabhi meri yaad aae
Gurez karti hawa ki lahron pe hath rakhna
Main KHushbuon mein tumhein milunga
Mujhe gulabon ki pattiyon mein talash karna
Main os-qatron ke aainon mein tumhein milunga
Agar sitaron mein os-qatron mein KHushbuon mein na pao mujh ko
To apne qadmon mein dekh lena main gard hoti masafaton mein tumhein milunga
Kahin pe raushan charagh dekho
To jaan lena ki har patange ke sath main bhi bikhar chuka hun
Tum apne hathon se un patangon ki KHak dariya mein Dal dena
Main KHak ban kar samundaron mein safar karunga
Kisi na dekhe hue jazire pe
Ruk ke tum ko sadaen dunga
Samundaron ke safar pe niklo
To us jazire pe bhi utarna