mujhe apne jiine kaa haq chaahiye mujhe apne jiine kaa haq chaahiye
— Amjad Islam Amjad
Mujhe apne jiine kaa haq chaahiye
Zameen jis pe mere qadam Tik saken
Aur taaron bharaa kuch falak chaahiye
Mujhe apne jiine kaa haq chaahiye
Nematen jo mere rab ne dhartee ko diin
Saaf paanee havaa baarishen chaandnee
Ye to har ibn-e-aadam kee jaageer hain
Ye hamaaree tumhaaree kisee kee nahin
Mujh ko ta.aleem sehat aur ummeed kee
Saat rangon bharee ik dhanak chaahiye
Mujhe apne jiine kaa haq chaahiye
Na havaa saaf hai na fazaa saaf hai
Vo jo aab-e-baqaa tha wo naa-saaf hai
Zameen ho samundar ho yaa aasmaan
Ik zaraa sochiye ab ki kya saaf hai
Maut se pur-khatar hai ye aaloodgee
Dosto dil men thoDee kasak chaahiye
Mujhe apne jiine kaa haq chaahiye
Mujhe apne jine ka haq chahiye
Zamin jis pe mere qadam Tik saken
Aur taron bhara kuch falak chahiye
Mujhe apne jine ka haq chahiye
Nematen jo mere rab ne dharti ko din
Saf pani hawa barishen chandni
Ye to har ibn-e-adam ki jagir hain
Ye hamari tumhaari kisi ki nahin
Mujh ko talim sehat aur ummid ki
Sat rangon bhari ek dhanak chahiye
Mujhe apne jine ka haq chahiye
Na hawa saf hai na faza saf hai
Wo jo aab-e-baqa tha wo na-saf hai
Zamin ho samundar ho ya aasman
Ek zara sochiye ab ki kya saf hai
Maut se pur-KHatar hai ye aaludgi
Dosto dil mein thoDi kasak chahiye
Mujhe apne jine ka haq chahiye