na aasmaan se na dushman ke zor o zar se huaa

Amjad Islam Amjad

Na aasmaan se na dushman ke zor o zar se huaa Ye mo'jiza to mire dast-e-be-hunar se huaa Qadam uThaa hai to paanv tale zameen hee nahin Safar kaa ranj hamen khwaish-e-safar se huaa Main bhiig bhiig gaya aarzoo kee baarish men Vo 'aks 'aks men taqseem chashm-e-tar se huaa Siyaahee shab kee na chehron pe aa ga.ee ho kaheen Sahar kaa khauf hamen aa.inon ke Dar se huaa Koee chale to zameen saath saath chaltee hai Ye raaz ham pe 'ayaan gard-e-rahguzar se huaa Tire badan kee mahak hee na thee to kya rukte Guzar hamaaraa ka.ee baar yuun to ghar se huaa Kahaan pe so.e the 'amjad' kahaan khuleen aankhen Gumaan qafas kaa hamen apne baam-o-dar se huaa Na aasman se na dushman ke zor o zar se hua Ye mo'jiza to mere dast-e-be-hunar se hua Qadam uTha hai to panw tale zamin hi nahin Safar ka ranj hamein KHwahish-e-safar se hua Main bhig bhig gaya aarzu ki barish mein Wo 'aks 'aks mein taqsim chashm-e-tar se hua Siyahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin Sahar ka KHauf hamein aainon ke Dar se hua Koi chale to zamin sath sath chalti hai Ye raaz hum pe 'ayan gard-e-rahguzar se hua Tere badan ki mahak hi na thi to kya rukte Guzar hamara kai bar yun to ghar se hua Kahan pe soe the 'amjad' kahan khulin aankhen Guman qafas ka hamein apne baam-o-dar se hua