parde men is badan ke chhupen raaz kis tarah

Amjad Islam Amjad

Parde men is badan ke chhupen raaz kis tarah Khushboo na hogee phuul kee ghammaaz kis tarah Tarz-e-kalaam un kaa huaa tarz-e-khaas-o-aam Badlenge ab wo baat kaa andaaz kis tarah Badlaa jo us kee aankh kaa andaaz to khulaa Karte hain rang phuul se parvaaz kis tarah Aankhon men kaise tan ga.ee deevaar-e-be-hisee Seenon men ghuT ke rah ga.ee awaaz kis tarah Vo haq-parast kaise hue maslahat-parast Naghmon se be-libaas hue saaz kis tarah Aankhon men mom Daal ke baiThenge kab talak Aa.eenon se chhupaa.enge ye raaz kis tarah Us kee nazar men aks-e-ta.alluq kaheen nahin 'amjad' hadees-e-shauq ho aaghaaz kis tarah Parde mein is badan ke chhupen raaz kis tarah KHushbu na hogi phul ki ghammaz kis tarah Tarz-e-kalam un ka hua tarz-e-KHas-o-am Badlenge ab wo baat ka andaz kis tarah Badla jo us ki aankh ka andaz to khula Karte hain rang phul se parwaz kis tarah Aankhon mein kaise tan gai diwar-e-be-hisi Sinon mein ghuT ke rah gai aawaz kis tarah Wo haq-parast kaise hue maslahat-parast Naghmon se be-libas hue saz kis tarah Aankhon mein mom Dal ke baiThenge kab talak Aainon se chhupaenge ye raaz kis tarah Us ki nazar mein aks-e-talluq kahin nahin 'amjad' hadis-e-shauq ho aaghaz kis tarah