qaaid e aazam aadam ki taariikh ke siine men duube hain
— Amjad Islam Amjad
Aadam kee taareekh ke siine men Duube hain
Kitne suraj kitne chaand
Kaise kaise rang the miTTee se phooTe
Mauj havaa ke bante aur bigaDte raston men Thahre
Aur khaak hue
Niile aur athaah samundar ke honTon kee pyaas bane
Aane vaale din kee aankhon men lahraatee aas bane
Kaise kaise rang the jo miTTee se chamke
Aur chamak kar paD ga.e maand
Kuchh suraj aise phir bhee
Apnee apnee shaam men jo is dasht-e-ufuq kaa rizq hue hain
Lekin ab tak raushan hain gahnaa.e nahin
Phuul hain jin ko chhoone vaalee sabz havaa.en khaak huiin
Lekin ab tak taaza hain kumhlaa.e nahin
Aisaa hee ik suraj tha wo aadam-zaada
TuuTee eenTon ke malbe se jaada jaada
TukDaa TukDaa yakjaa kar ke
Ek imaarat kee buniyaaden Daal raha tha
Saat samundar jaise dil men
Un ke gham ko paal raha tha
Jin ke kaale tang gharon men koi suraj chaand nahin tha
Phoolon kee mahkaar nahin thee baadal kaa imkaan nahin tha
Sub.h kaa naam nishaan nahin tha
Niind bharee aankhon ke lawn men
Vo khud suraj ban kar ubhraa
Dhaltee shab men puure chaand kee soorat niklaa
Sub.h ke pahle darvaaze par dastak ban kar guunj uThaa
Aaj main jis manzil par khaDaa hoon
Us par peechhe muD kar dekhoon
To ik raushan moD pe ab bhee
Vo haathon men
Aane vaale din kee jaltee sham.a thaame
Meree jaanib dekh raha hai
Jaane kya wo soch raha hai
Aadam ki tariKH ke sine mein Dube hain
Kitne suraj kitne chand
Kaise kaise rang the miTTi se phuTe
Mauj hawa ke bante aur bigaDte raston mein Thahre
Aur KHak hue
Nile aur athah samundar ke honTon ki pyas bane
Aane wale din ki aankhon mein lahraati aas bane
Kaise kaise rang the jo miTTi se chamke
Aur chamak kar paD gae mand
Kuchh suraj aise phir bhi
Apni apni sham mein jo is dasht-e-ufuq ka rizq hue hain
Lekin ab tak raushan hain gahnae nahin
Phul hain jin ko chhune wali sabz hawaen KHak huin
Lekin ab tak taza hain kumhlae nahin
Aisa hi ek suraj tha wo aadam-zada
TuTi inTon ke malbe se jada jada
TukDa TukDa yakja kar ke
Ek imarat ki buniyaaden Dal raha tha
Sat samundar jaise dil mein
Un ke gham ko pal raha tha
Jin ke kale tang gharon mein koi suraj chand nahin tha
Phulon ki mahkar nahin thi baadal ka imkan nahin tha
Subh ka nam nishan nahin tha
Nind bhari aankhon ke lawn mein
Wo KHud suraj ban kar ubhra
Dhalti shab mein pure chand ki surat nikla
Subh ke pahle darwaze par dastak ban kar gunj uTha
Aaj main jis manzil par khaDa hun
Us par pichhe muD kar dekhun
To ek raushan moD pe ab bhi
Wo hathon mein
Aane wale din ki jalti shama thame
Meri jaanib dekh raha hai
Jaane kya wo soch raha hai