raat main is kashmakash men ek pal soyaa nahin
— Amjad Islam Amjad
Raat main is kashmakash men ek pal soyaa nahin
Kal main jab jaane lagaa to us ne kyuun rokaa nahin
Yuun agar sochoon to ik ik naqsh hai siine pe naqsh
Haa.e wo chehra ki phir bhee aankh men bantaa nahin
Kyuun uDaatee phir rahi hai dar-ba-dar mujh ko havaa
Main agar ik shaakh se TuuTaa huaa pattaa nahin
Aaj tanhaa hoon to kitnaa ajnabee maahaul hai
Ek bhee raste ne tere shahr men rokaa nahin
Harf barg-e-khushk ban kar TooTte girte rahe
Ghuncha-e-arz-e-tamannaa honT par phooTaa nahin
Dard kaa rasta hai yaa hai saa.at-e-roz-e-hisaab
SaikaDon logon ko rokaa ek bhee Thahraa nahin
Shabnamee aankhon ke jugnoo kaanpte honTon ke phuul
Ek lamha tha jo 'amjad' aaj tak guzraa nahin
Raat main is kashmakash mein ek pal soya nahin
Kal main jab jaane laga to us ne kyun roka nahin
Yun agar sochun to ek ek naqsh hai sine pe naqsh
Hae wo chehra ki phir bhi aankh mein banta nahin
Kyun uDati phir rahi hai dar-ba-dar mujh ko hawa
Main agar ek shaKH se TuTa hua patta nahin
Aaj tanha hun to kitna ajnabi mahaul hai
Ek bhi raste ne tere shahr mein roka nahin
Harf barg-e-KHushk ban kar TuTte girte rahe
Ghuncha-e-arz-e-tamanna honT par phuTa nahin
Dard ka rasta hai ya hai saat-e-roz-e-hisab
SaikaDon logon ko roka ek bhi Thahra nahin
Shabnami aankhon ke jugnu kanpte honTon ke phul
Ek lamha tha jo 'amjad' aaj tak guzra nahin