shaam dhale jab bastii vaale laut ke ghar ko aate hain
— Amjad Islam Amjad
Shaam Dhale jab bastee vaale lauT ke ghar ko aate hain
AahaT aahaT dastak dastak kya kya ham ghabraate hain
Ahl-e-junoon to dil kee sadaa par jaan se apnee jaa bhee chuke
Ahl-e-khirad ab jaane ham ko kya samjhaane aate hain
Jaise rail kee har khiDkee kee apnee apnee dunya hai
Kuchh manzar to ban nahin paate kuch peechhe rah jaate hain
Jis kee har ik iinT men jazb hain un ke apne hee aansoo
Vaa.e ki ab wo ahl-e-duaa hee is mehraab ko Dhaate hain
Aaj kee shab to kaT hee chalee hai khawabon aur saraabon men
Aane vaale din ab dekhen kya manzar dikhlaate hain
Saaree umr hee dil se apna aisa kuch bartaav raha
Jaise khel men haarne vaale bachche ko bahlaate hain
Naa-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-wafa kar sakte hain
Paanee aur havaa par dekho kya kya naqsh banaate hain
Sham Dhale jab basti wale lauT ke ghar ko aate hain
AahaT aahaT dastak dastak kya kya hum ghabraate hain
Ahl-e-junun to dil ki sada par jaan se apni ja bhi chuke
Ahl-e-KHirad ab jaane hum ko kya samjhane aate hain
Jaise rail ki har khiDki ki apni apni duniya hai
Kuchh manzar to ban nahin pate kuch pichhe rah jate hain
Jis ki har ek inT mein jazb hain un ke apne hi aansu
Wae ki ab wo ahl-e-dua hi is mehrab ko Dhate hain
Aaj ki shab to kaT hi chali hai KHwabon aur sarabon mein
Aane wale din ab dekhen kya manzar dikhlate hain
Sari umr hi dil se apna aisa kuch bartaw raha
Jaise khel mein haarne wale bachche ko bahlate hain
Na-mumkin ko mumkin 'amjad' ahl-e-wafa kar sakte hain
Pani aur hawa par dekho kya kya naqsh banate hain