taaraa taaraa utar rahii hai raat samundar men
— Amjad Islam Amjad
Taaraa taaraa utar rahi hai raat samundar men
Jaise Doobne vaalon ke hon haath samundar men
Saahil par to sab ke honge apne apne log
Rah jaa.egee kashtee kee har baat samundar men
Ek nazar dekhaa tha us ne aage yaad nahin
Khul jaatee hai Dariya kee auqaat samundar men
Main saahil se lauT aayaa tha kashtee chalne par
Pighal chukee thee lekin meree zaat samundar men
KaaT raha hoon aise 'amjad' ye hastee kee rah
Be-patvaaree naav pe jaise raat samundar men
Tara tara utar rahi hai raat samundar mein
Jaise Dubne walon ke hon hath samundar mein
Sahil par to sab ke honge apne apne log
Rah jaegi kashti ki har baat samundar mein
Ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin
Khul jati hai dariya ki auqat samundar mein
Main sahil se lauT aaya tha kashti chalne par
Pighal chuki thi lekin meri zat samundar mein
KaT raha hun aise 'amjad' ye hasti ki rah
Be-patwari naw pe jaise raat samundar mein