teraa ye lutf kisi zakhm kaa unvaan na ho
— Amjad Islam Amjad
Teraa ye lutf kisee zakhm kaa unvaan na ho
Ye jo saahil saa nazar aataa hai toofaan na ho
Kyaa balaa shahr pe TuuTee hai khuda khair kare
Yuun sar-e-shaam koi dasht bhee veeraan na ho
Rang khushboo se judaa ho to bikhar jaataa hai
Dekhne vaale mire haal pe hairaan na ho
Baat bantee hai to phir aap hee ban jaatee hai
Itnee maayoos muqaddar se miree jaan na ho
Siikh is shahr men jiine kaa saleeqa 'amjad'
Koee martaa hai mare, aap kaa nuqsaan na ho
Tera ye lutf kisi zaKHm ka unwan na ho
Ye jo sahil sa nazar aata hai tufan na ho
Kya bala shahr pe TuTi hai KHuda KHair kare
Yun sar-e-sham koi dasht bhi viran na ho
Rang KHushbu se juda ho to bikhar jata hai
Dekhne wale mere haal pe hairan na ho
Baat banti hai to phir aap hi ban jati hai
Itni mayus muqaddar se meri jaan na ho
Sikh is shahr mein jine ka saliqa 'amjad'
Koi marta hai mare, aap ka nuqsan na ho