tumhaaraa haath jab mere larazte haath se chhuutaa khizaan ke aakhirii din the
— Amjad Islam Amjad
Tumhaaraa haath jab mere larazte haath se chhooTaa khizaan ke aakhiree din the
Vo mohkam be-lachak va.ada khilaune kee tarah TuuTaa khizaan ke aakhiree din the
Bahaar aa.ee na thee lekin havaaon men na.e mausam kee khushboo raqs kartee thee
Achaanak jab kahaa tum ne mire munh par mujhe jhooTaa khizaan ke aakhiree din the
Vo kya din the yaheen ham ne bahaaron kee duaa kee thee kisee ne bhee nahin sochaa
Chaman vaalon ne mil kar jab khud apna hee chaman luuTaa khizaan ke aakhiree din the
Likhaa tha ek takhtee par koi bhee phuul mat toDe magar aandhee to an-paDh thee
So jab wo baagh se guzree koi ukhDaa koi TuuTaa khizaan ke aakhiree din the
Bahut hee zor se piiTe havaa ke bain par siine hamaare khair-khvaahon ne
Ki chaandee ke varaq jaisaa samay ne jab hamen kuuTaa khizaan ke aakhiree din the
Na rut thee aandhiyon kee ye na mausam tha havaaon kaa to phir ye kya huaa 'amjad'
Har ik konpal huee zakhmee huaa majrooh har buuTaa khizaan ke aakhiree din the
Tumhaara hath jab mere larazte hath se chhuTa KHizan ke aaKHiri din the
Wo mohkam be-lachak wada khilaune ki tarah TuTa KHizan ke aaKHiri din the
Bahaar aai na thi lekin hawaon mein nae mausam ki KHushbu raqs karti thi
Achanak jab kaha tum ne mere munh par mujhe jhuTa KHizan ke aaKHiri din the
Wo kya din the yahin hum ne bahaaron ki dua ki thi kisi ne bhi nahin socha
Chaman walon ne mil kar jab KHud apna hi chaman luTa KHizan ke aaKHiri din the
Likha tha ek taKHti par koi bhi phul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi
So jab wo bagh se guzri koi ukhDa koi TuTa KHizan ke aaKHiri din the
Bahut hi zor se piTe hawa ke bain par sine hamare KHair-KHwahon ne
Ki chandi ke waraq jaisa samay ne jab hamein kuTa KHizan ke aaKHiri din the
Na rut thi aandhiyon ki ye na mausam tha hawaon ka to phir ye kya hua 'amjad'
Har ek konpal hui zaKHmi hua majruh har buTa KHizan ke aaKHiri din the