zindagaanii jaavedaanii bhi nahin
— Amjad Islam Amjad
Zindagaanee jaavedaanee bhee nahin
Lekin is kaa koi saanee bhee nahin
Hai savaa-neze pe suraj kaa alam
Tere gham kee saa.ebaanee bhee nahin
Manzilen hee manzilen hain har taraf
Raaste kee ik nishaanee bhee nahin
Aa.ine kee aankh men ab ke baras
Koee aks-e-mehrbaanee bhee nahin
Aankh bhee apnee saraab-aalood hai
Aur is Dariya men paanee bhee nahin
Juz tahayyur gard-baad-e-zeest men
Koee manzar ghair-faanee bhee nahin
Dard ko dilkash banaa.en kis tarah
Daastaan-e-gham kahaanee bhee nahin
Yuun luTaa hai gulshan-e-vahm-o-gumaan
Koee khaar-e-bad-gumaanee bhee nahin
Zindagani jawedani bhi nahin
Lekin is ka koi sani bhi nahin
Hai sawa-neze pe suraj ka alam
Tere gham ki saebani bhi nahin
Manzilen hi manzilen hain har taraf
Raste ki ek nishani bhi nahin
Aaine ki aankh mein ab ke baras
Koi aks-e-mehrbani bhi nahin
Aankh bhi apni sarab-alud hai
Aur is dariya mein pani bhi nahin
Juz tahayyur gard-baad-e-zist mein
Koi manzar ghair-fani bhi nahin
Dard ko dilkash banaen kis tarah
Dastan-e-gham kahani bhi nahin
Yun luTa hai gulshan-e-wahm-o-guman
Koi KHar-e-bad-gumani bhi nahin