bas yuunhii ik vahm saa hai vaaqia aisa nahiin

Anwar Masood

Bas yoonhee ik vahm saa hai vaaqi.a aisa naheen Aa.ine kee baat sachchee hai ki main tanhaa naheen BaiThiye peDon kee utran kaa alaav taapiye Barg-e-sozaan ke sivaa darvesh kuchh rakhtaa naheen Uf chaTakhne kee sadaa se kis qadar Dartaa huun main Kitnee baaten hain ki daanista jinhen sochaa naheen Apnee apnee sab kee aankhen apnee apnee khvaahishen Kis nazar men jaane kyaa jachtaa hai kyaa jachtaa naheen Chain kaa dushman huaa ik mas.ala meree taraf Us ne kal dekhaa thaa kyuun aur aaj kyuun dekhaa naheen Ab jahaan le jaa.e mujh ko jaltee-bujhtee aarzoo Main bhee is jugnoo kaa peechhaa chhoDne vaalaa naheen Kaisee kaisee pursishen 'anvar' rulaatee hain mujhe Ketiyon se kyaa kahoon main abr kyuun barsaa naheen