duniyaa bhii ajab qaafila e tishna labaan hai
— Anwar Masood
Duniyaa bhee 'ajab qaafila-e-tishna-labaan hai
Har shakhs saraabon ke ta'aaqub men ravaan hai
Tanhaa tiree mahfil men naheen huun ki mire saath
Ik lazzat-e-paabandee-e-iz.haar-o-bayaan hai
Haq baat pe hai zahr bhare jaam kee ta.azeer
Ai ghairat-e-eemaan lab-e-suqraat kahaan hai
Kheton men samaatee naheen phoolee huee sarson
Baaghon men abhee tak vahee hangaam-e-khizaan hai
Ehsaas miraa hijr-gazeeda hai azal se
Kyaa mujh ko agar koee qareeb-e-rag-e-jaan hai
Jo dil ke samundar se ubhartaa hai yaqeen hai
Jo zehn ke saahil se guzartaa hai gumaan hai
Phoolon pe ghaTaaon ke to saa.e naheen 'anvar'
Aavaara-e-gulzaar nasheman kaa dhuaan hai