kyuun kisii aur ko dukh dard sunaauun apne

Anwar Masood

Kyuun kisee aur ko dukh dard sunaa.oon apne Apnee aankhon se bhee main zakhm chhupaa.oon apne Main to qaa.em huun tire gham kee badaulat varna Yuun bikhar jaa.oon ki khud haath na aa.uun apne Sher logon ke bahut yaad hain auron ke liye Too mile to main tujhe sher sunaa.oon apne Tere raste kaa jo kaanTaa bhee mayassar aa.e Main use shauq se collar par sajaa.oon apne Sochtaa huun ki bujhaa duun men ye kamre kaa diyaa Apne saa.e ko bhee kyuun saath jagaa.oon apne Us kee talvaar ne vo chaal chalee hai ab ke Paanv kaTte hain agar haath bachaa.oon apne Aakhiree baat mujhe yaad hai us kee 'anvar' Jaane vaale ko gale se na lagaa.oon apne