use to paas e khuluus e vafaa zaraa bhii nahiin
— Anwar Masood
Use to paas-e-khuloos-e-vafaa zaraa bhee naheen
Magar ye aas kaa rishta ki TooTtaa bhee naheen
Ghire hue hain khamoshee kee barf men kab se
Kisee ke paas koee tesha-e-sadaa bhee naheen
Ma.aal-e-ghunch-o-gul hai miree nigaahon men
Mujhe tabassum-e-kaazib kaa hausla bhee naheen
Tuloo-e-sub.h-e-azal se main DhoonDhtaa thaa jise
Milaa to hai pa miree samt dekhtaa bhee naheen
Miree sadaa se bhee raftaar tez thee us kee
Mujhe gila bhee naheen hai jo vo rukaa bhee naheen
Bikhar ga.ee hai nigaahon kee raushnee varna
Nazar na aa.e vo itnaa to faasla bhee naheen
Sunaa hai aaj kaa mauzoo-e-majlis-e-tanqeed
Vo sher hai ki abhee main ne jo kahaa bhee naheen
SimaT rahe hain sitaaron ke faasle 'anvar'
PaDosiyon ko magar koee jaantaa bhee naheen