bhole ban kar haal na puuchho bahte hain ashk to bahne do
— Arzoo Lakhnavi
Bhole ban kar haal na poochho bahte hain ashk to bahne do
Jis se baDhe bechainee dil kee aisi tasallee rehne do
Rasmen is andher-nagar kee na.ee nahin ye puraanee hain
Mehr pe Daalo raat kaa parda maah ko raushan rehne do
Ruuh nikal kar baagh-e-jahaan se baagh-e-jinaan men jaa pahunche
Chehre pe apne meree nigaahen itnee der to rehne do
Khanda-e-gul bulbul men hogaa gul men naghma bulbul kaa
Qissa ek zubanein do hain aap kaho yaa kahne do
Itnaa junoon-e-shauq diyaa kyuun khauf jo tha rusvaa.ee kaa
Baat karo khud qaabil-e-shikva ulTe mujh ko rehne do