haan diid kaa iqraar agar ho to Abhi ho
— Arzoo Lakhnavi
Haan diid kaa iqraar agar ho to abhee ho
Aur yuun ho ki deedaar agar ho to abhee ho
Taqdeer se Dartaa hoon ki phir mat na palaT jaa.e
Tum dil ke khareedaar agar ho to abhee ho
Deedaar ko kal kah ke qayaamat pe wo Taalen
Aur shauq kaa israar agar ho to abhee ho
Badlaa huaa har ahd nayaa laataa hai paighaam
Ye kya ki har iqraar agar ho to abhee ho
Aa lene to do 'aarzoo' aazaar men lazzat
Tum naam se bezaar agar ho to abhee ho