jahaan ki hai jurm ek nigaah karnaa
— Arzoo Lakhnavi
Jahaan ki hai jurm ek nigaah karnaa
Vaheen hai gunah pe DaT ke gunaah karnaa
Buton se baDhaa ke mel nibaah karnaa
Jahaan ke safed ko he siyaah karnaa
Sikhaayaa hai mujh ko is miree be-kasee ne
Usee ko sitam kaa us ke gavaah karnaa
Lubhaane se dil ke thaa to ye mudda.aa thaa
Ghareeb kee zindagee ko tabaah karnaa
Yahee to hai haan yahee wo adaa-e-ma.asoom
Alag huee jo sikhaa ke gunaah karnaa
Jafaa se bhee len maza na wafa kaa kyoonkar
Hamen to har ik tarah hai nibaah karnaa
Ye kahtaa hai chashm-e-hosh-rubaa kaa jaadoo
Tujhe tire haath se hai tabaah karnaa
Tiree nazar se seekhaa hai aah-e-dil ne
Jigar men shigaaf Daal ke raah karnaa
Nazar men nazar gaDaa.e hai yuun wo zaalim
Ki 'aarzoo' ab kaThin hai ik aah karnaa