kisi gumaan o yaqiin ki had men wo shokh e parda nashiin nahin hai

Arzoo Lakhnavi

Kisee gumaan-o-yaqeen kee had men wo shokh-e-parda-nasheen nahin hai Jahaan na samho usee jagah hai jahaan samajh lo vaheen nahin hai Tumhaaraa va.ada hai kaisaa va.ada ki jis kaa dil ko yaqeen nahin hai Nageen-e-be-naqsh to hazaaron ye naqsh hai aur nageen nahin hai Tasavvuron ke fareb uThaa kar mushaahida vahm ban raha hai Nazar ne khaa.e hain itne dhoke ki dekh kar bhee yaqeen nahin hai Talavvun ik jazr-o-mad hai khud hee thapeDon men aa phansee hai kashtee Khabar hai muddat ke Duube dil kee ki aaj tak tah-nasheen nahin hai Ye kahtee hai gardish-e-zamaana qadam thamenge na ab kisee jaa Hai ye bhee ik aasmaan kaa TukDaa tiree galee kee zameen nahin hai Wafa kee haamee hamiyyat un kee hareef-e-ummeed ghairat un kee Nigaahen iqraar kar rahi hain zabaan pe lekin nahin nahin hai Huaa jo ik dil kaa daagh raushan to ho ga.e kul charaagh raushan Khayaal raushan dimaagh raushan bas ab andheraa kaheen nahin hai Sarishk-e-khooneen kaa kul fasaana lapeT rakhaa hai ik varaq men NichoDne par lahoo na Tapke to aasteen aasteen nahin hai Hamaaree naakaamee-e-wafa ne zamaane kee khol dee hain aankhen Charaagh kab kaa bujhaa paDaa hai magar andheraa kaheen nahin hai Mujhee pe kya hai nahin hai kis men ye but-taraashee ye but-parastee Agar na husn-e-nazar se dekho to koi bhee phir haseen nahin hai Rah-e-itaa.at men 'aarzoo' ne qadam qadam pe kiye hain sajde Jo aap kaa naqsh-e-paa nahin hai wo us kaa naqsh-e-jabeen nahin hai