kyuun kisi rah rau se puuchhuun apnii manzil kaa pataa

Arzoo Lakhnavi

Kyuun kisee rah-rau se poochhoon apnee manzil kaa pataa Mauj-e-Dariya khud lagaa letee hai saahil kaa pataa Hai nishaan-e-laila-e-maqsood mahmil kaa pataa Dilrubaa haath aa gaya paayaa jahaan dil kaa pataa Raah-e-ulfat men samajh lo dil ko goongaa rahnumaa Saath hai aur de nahin saktaa hai manzil kaa pataa Kahtaa hai naaseh ki vaapas jaao aur main saada-lauh Poochhtaa hoon khud usee se koo-e-qaatil kaa pataa Raahbar rahzan na ban jaa.e kaheen is soch men Chup khaDaa hoon bhuul kar raste men manzil kaa pataa Aa.ee ik awaaz-e-teer aur niklee dil se uf Phir na qaatil kaa nishaan paayaa na bismil kaa pataa Baankee-chitvan vaale mahshar men hazaaron hain to hon Mil hee jaa.egaa kisee soorat se qaatil kaa pataa Us jagah bismil ne dam toDaa jahaan kee khaak thee Yuun lagaate hain lagaane vaale manzil kaa pataa Poochhne vaale ne ye poochhaa ki kyuun be-dil ho kyuun Aur mujh ko mil gaya kho.e hue dil kaa pataa Maujen Takraa.ee huiin dushman bhee nikleen dost bhee Peechhe kashtee ko Dhakelaa de ke saahil kaa pataa Rah gaya hai Toot kar zakhm-e-jigar men teer-e-naaz Ab lagaa lenaa nahin dushvaar qaatil kaa pataa Sokhta parvaane kushta sham.a farsh-e-daaghdaar De rahe hain raat kee garmee-e-mahfil kaa pataa Main wafa-kesh 'aarzoo' aur wo wafa-naa-aashnaa PaD gaya mushkil men paa kar apnee mushkil kaa pataa