nazar us chashm pe hai jaam liye baithaa hoon

Arzoo Lakhnavi

Nazar us chashm pe hai jaam liye baiThaa hoon Hai na piine kaa ye matlab ki piye baiThaa hoon Rakhna-andaazi-e-andoh se ghaafil nahin main Hai jigar chaak to kya honT siye baiThaa hoon Kya karoon dil ko jo lene nahin deta hai qaraar Jo muqaddar ne diyaa hai wo liye baiThaa hoon Iltifaat ai nigah-e-hosh-rubaa ab kyuun hai Paas jo Kuch thaa wo pahle se diye baiThaa hoon Dil-e-pur-kaif salaamat ki akele men bhee Ek botal se baghal garm kiye baiThaa hoon 'aarzoo' jalte hue dil ke sharaare hain ye ashk Aag paanee ke kaToron men liye baiThaa hoon