piyuun hi kyuun jo buraa jaanuun aur chhupaa ke piyuun

Arzoo Lakhnavi

Piyoon hee kyuun jo buraa jaanoon aur chhupaa ke piyoon Main wo naheen ki nigaahen bachaa bachaa ke piyoon MiTaa diye hain sab ehsaas uf re zauq-e-sharaab Suroor kam na ho turshee bhee gar milaa ke piyoon Gunah pe tohmat-e-be-lazzatee na rakh zaahid Maza na aa.e to kyuun munh banaa banaa ke piyoon Ye tishnagee-e-shahaadat kaa iqtizaa ab hai Ki aab-e-tegh-e-sitam zahr men bujhaa ke piyoon Gale men lagtee hai ifraat-e-shauq se phaansee PaDe na halq men phandaa to DagDagaa ke piyoon Hai ek saaghar-e-dil aur hazaar-rang kee mai Na ho jo ghar men to baazaar se mangaa ke piyoon Bharosa kar ke main apne raheem par vaa.iz Maza to jab hai ki tujh ko jalaa jalaa ke piyoon Talab se aar hai itnee ki pyaas gar na bujhe Jigar ke Khoon ko paanee banaa banaa ke piyoon Nigaah-e-shauq miree ruuh kheench letee hai Naheen wo rind ki saaghar se munh lagaa ke piyoon Ye shai ki jis se nigaahon ko rashk dil ko suroor Chhupaa chhupaa ke unDeloon dikhaa dikhaa ke piyoon Gunaahgaar sahee chor main naheen zaahid Hai ye bhee kufr ki ka.abe se munh phiraa ke piyoon Na rind-e-tang-nazar 'aarzoo' na tanhaa-khor Jo zahr bhee ho mayassar to main pilaa ke piyoon