qurbat badhaa badhaa kar be khud banaa rahe hain
— Arzoo Lakhnavi
Qurbat baDhaa baDhaa kar be-khud banaa rahe hain
Main duur haT raha hoon wo paas aa rahe hain
E.ajaaz-e-paak-baazee hairat men laa rahe hain
Dil mil gaya hai dil se pahloo judaa rahe hain
Wo dil se gham bhulaa kar dil ko lubhaa rahe hain
Guzre hue zamaane phir phir ke aa rahe hain
Siine men zabt-e-gham se chhaalaa ubhar raha hai
Sho'le ko band kar ke paanee banaa rahe hain
Ai be-khudee kahaan hai jaldee miree khabar le
Bhoole the jo ba-mushkil phir yaad aa rahe hain
Len kaam zabt se kya ulTaa hai dil kaa phoDaa
Utnaa ubhar raha hai jitnaa dabaa rahe hain
Furqat men saaz-e-raahat saamaan 'azaab kaa hai
ThanDee havaa ke jhonke kya jee jalaa rahe hain
Hain husn ke karishme kya inqalaab-aageen
Gham-khvaar jo the kal tak ab khaar khaa rahe hain
Khud in kee justujoo men ham duur bhaage varna
Wo kab alag rahe hain wo kab judaa rahe hain
Le le ke ThanDee saansen poochho na haal dekho
Tum bhed kholte ho aur ham chhupaa rahe hain
Dekh 'aarzoo' ye ronaa shaana hilaa hilaa kar
Too aaj khvaab men hai aur wo jagaa rahe hain