taqdiir pe shaakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbiir na kar
— Arzoo Lakhnavi
Taqdeer pe shaakir rah kar bhee ye kaun kahe tadbeer na kar
Vaa baab-e-ijaabat ho ki na ho zanjeer hilaa taakheer na kar
Gham baDhne de ai dil aur zaraa jaanch aah kee be-taaseer na kar
Hai khvaab adhooraa aap abhee be-samjhe ghalat ta.abeer na kar
Jab zulm kaa badla zulm huaa mazloom kaa haq Kuch bhee na raha
De dard hee men lazzat yaarab naale ko ataa taaseer na kar
Ho laakh kamaan kaDee qaatil Kuch jazb nishaane men bhee hai
Baazoo ke bal pe nazar kar ke andaaza-e-zakhm-e-teer na kar
Ab tak jo nigaahen seedhee hain mumkin hai kal ye palaT jaa.en
Jo karnaa ho kare aise men kis soch men hai taakheer na kar
Paimaan-e-mohabbat khatm huaa ab zikr se us ke faa.eda kya
Munh bikhree kaDiyon ke na milaa tayyaar na.ee zanjeer na kar
Ulfat ke ahd-e-mohkam men buude kaaghaz kee zamaanat kya
Ye dil se dil kee baaten hain rakh yaad faqat tahreer na kar
Har dil hai hayaat kaa sarmaaya har dil men josh mohabbat kaa
Too 'aarzoo' aur kahegaa kya bas rehne bhee de taqreer na kar