us ki to ek dil lagii apna banaa ke chhod de
— Arzoo Lakhnavi
Us kee to ek dil-lagee apna banaa ke chhoD de
Jaa.e wo ab kahaan jise sab se chhuDaa ke chhoD de
Khel naheen hai bad-gumaan qaul-o-qaraar bhoolnaa
Phir se aazmaa ke dekh yaad dilaa ke chhoD de
Nibh chukaa zindagee kaa saath jab ye abhee se haal hai
Bojh baTaane vaalaa hee biich men laa ke chhoD de
Us se kahen to kya kahen jis ke mizaaj men ye zid
Jab na lagee bujhaa sake aag lagaa ke chhoD de
Raah taveel paanv shal aur ye ham-safar kaa haal
Le to chale sambhaal ke biich men laa ke chhoD de