waada sachchaa hai ki jhuutaa mujhe maaluum na thaa
— Arzoo Lakhnavi
Va.ada sachchaa hai ki jhooTaa mujhe ma.aloom na thaa
Kal badal jaa.egee Dunya mujhe ma.aloom na thaa
Husn hai mashghala-e-zulm ko gahraa parda
Pas-e-parda hai andheraa mujhe ma.aloom na thaa
Ishq wo shai hai ki charke bhee maza dete hain
Varna qaatil hain haseen kya mujhe ma.aloom na thaa
Dil kee zid is liye rakh lee thee ki aa jaa.e qaraar
Kal ye Kuch aur kahegaa mujhe ma.aloom na thaa
JhooTee ummeedon ne kya kya na hare baagh lagaa.e
Vaqt jhonkaa hai havaa kaa mujhe ma.aloom na thaa
Jitne qismat ke sahaare the wo jhooTe nikle
Hai bandhee muTThiyon men kya mujhe ma.aloom na thaa
Barson bhaTkaa kiyaa aur phir bhee na un tak pahunchaa
Ghar to ma.aloom thaa rasta mujhe ma.aloom na thaa
Raaz-e-gham faash na ho is liye rokee thee zabaan
Chup bhee rah kar yahee hogaa mujhe ma.aloom na thaa
Dil maze letaa hai jis gham ke wo hai kaahish-e-jaan
Zahr bhee hota hai meeThaa mujhe ma.aloom na thaa
Ishq-aabaad ke naake hee se rukhsat hue hosh
Hai ye deevaanon kee Dunya mujhe ma.aloom na thaa
Hogaa imroz kee soorat men zuhoor-e-fardaa
Va.ada yuun roz Talegaa mujhe ma.aloom na thaa
Aarzoo haan bhee haseenon kee nahin hotee hai
In kee har baat hai dhokaa mujhe ma.aloom na thaa