wo kya likhtaa jise inkaar karte bhi hijaab aayaa
— Arzoo Lakhnavi
Wo kya likhtaa jise inkaar karte bhee hijaab aayaa
Javaab-e-khat naheen aayaa to ye samjho javaab aayaa
Qareeb-e-sub.h ye kah kar ajal ne aankh jhapkaa dee
Are o hijr ke maare tujhe ab tak na khvaab aayaa
Dil is awaaz ke sadqe ye mushkil men kahaa kis ne
Na ghabraanaa na ghabraanaa main aayaa aur shitaab aayaa
Koee qattaal-soorat dekh lee marne lage us par
Ye maut ik khushnumaa parde men aa.ee yaa shabaab aayaa
Puraane 'ahd TuuTe ho ga.e paimaan na.e qaa.em
Banaa dee us ne Dunya doosree jo inqalaab aayaa
Guzargaah-e-mohabbat ban ga.ee ik mustaqil bastee
Lagaa kar aag aayaa ghar ko jo khaana-kharaab aayaa
Mu'amma ban gaya raaz-e-mohabbat 'aarzoo' yoonhee
Wo mujh se poochhte jhijhke mujhe kahte hijaab aayaa