yahii ik nibaah ki shakl hai wo jafaa karen main wafa karoon
— Arzoo Lakhnavi
Yahee ik nibaah kee shakl hai wo jafaa karen main wafa karoon
Agar is pe bhee na nibhee to phir mire kirdgaar main kya karoon
Hai mohabbat aisi bandhee girah jo na ek haath se khul sake
Koi ahd toDe kare daghaa miraa farz hai ki wafa karoon
Main hazaar baaton men ek bhee kabhi un se khul ke na kah sakaa
Agar ek tarah kee baat ho to hazaar tarah adaa karoon
Jo hansaa to soorat-e-zakhm-e-dil ki lahoo ke qatre Tapak paDe
Main sitam-raseeda hoon 'aarzoo' na bahaa.oon ashk to kya karoon