dayaar e ishq kii shamen jalaa to sakte hain
— Asad Badayuni
Dayaar-e-ishq kee sham.en jalaa to sakte hain
Khushee mile na mile muskuraa to sakte hain
Hamesha vasl mayassar ho ye zarooree nahin
Do ek din ko tire paas aa to sakte hain
Jo raaz-e-ishq hai un ko chhupaa.enge lekin
Jo daagh-e-ishq hain sab ko dikhaa to sakte hain
Ham imtihaan men naakaam huun ye ranj nahin
Isee men khush hain ki wo aazmaa to sakte hain
Naseem-e-sub.h ke jhonke hain khush-gavaar magar
Kabhi kabhi ye dilon ko dikhaa to sakte hain
Yahee bahut hai ki is khaar-zaar-e-duniyaa men
Tujhe ham apne gale se lagaa to sakte hain