gaanv kii aankh se bastii kii nazar se dekhaa

Asad Badayuni

Gaanv kee aankh se bastee kee nazar se dekhaa Ek hee rang hai duniyaa ko jidhar se dekhaa Ham se ai husn adaa kab tiraa haq ho paayaa Aankh bhar tujh ko buzurgon ke na Dar se dekhaa Apnee baanhon kee tarah mujh ko lageen sab shaakhen Chaand uljhaa huaa jis raat shajar se dekhaa Ham kisee jang men shaamil na hue bas ham ne Har tamaashe ko faqat raahguzar se dekhaa Har chamakte hue manzar se rahe ham naaraaz Saare chehron ko sadaa deeda-e-tar se dekhaa Phuul se bachchon ke shaanon pe the bhaaree baste Ham ne schol ko dushman kee nazar se dekhaa