har ik yaqiin ko ham ne gumaan banaa diyaa hai

Asad Badayuni

Har ik yaqeen ko ham ne gumaan banaa diyaa hai The jis zameen pe use aasmaan banaa diyaa hai Ham aise khaana-kharaabon se aur kyaa bantaa Kisee se silsila-e-rabt-e-jaan banaa diyaa hai Hamaare sher hamaare khayaal kuchh yuun hain Khalaa men jaise kisee ne makaan banaa diyaa hai Mohabbaton ke ameenon kee hain wo aavaazen Ki jin ko khalq ne shor-e-sagaan banaa diyaa hai Zameen to puuree tarah ham bhee dekh sakte hain Falak ko is ne magar be-karaan banaa diyaa hai