havaa ke paas bas ik taaziyaana hotaa hai
— Asad Badayuni
Havaa ke paas bas ik taaziyaana hotaa hai
Isee se shahr o shajar ko Daraanaa hotaa hai
Wo saaree baaten main ahbaab hee se kahtaa huun
Mujhe hareef ko jo kuchh sunaanaa hotaa hai
Munaafiqon men shab-o-roz bhee guzaartaa huun
Aur un kee zad se bhee khud ko bachaanaa hotaa hai
Kitaab-e-umr bharee jaa rahee hai lekin kyuun
Na koee lafz na chehra puraanaa hotaa hai
Vahaan bhee mujh ko khudaa sar-buland rakhtaa hai
Jahaan saron ko jhukaa.e zamaana hotaa hai