jis ko honaa hai wo in aankhon se ojhal ho jaae
— Asad Badayuni
Jis ko honaa hai wo in aankhon se ojhal ho jaa.e
Us se pahle ki miraa kaam mukammal ho jaa.e
Main to bas dekhtaa rahtaa huun zameenon ke kaTaao
Aadmee sochne vaalaa ho to paagal ho jaa.e
Kaheen aisa na ho veeraane hon phir se aabaad
Kaheen aisa na ho har shahr hee jangal ho jaa.e
Ye zameen jis pe hai gulzaaron kee ta.adaad bahut
Ye bhee ho saktaa hai kal ko vahee maqtal ho jaa.e
Reg-zaaron se bukhaaraat hee uThte hain magar
Kaun jaane ki ye garmee koee baadal ho jaa.e
Meraa pindaar hee deevaar hai naakaamee kee
Ye jo gir jaa.e to har khvaab mukammal ho jaa.e