jise na merii udaasii kaa kuchh khayaal aayaa
— Asad Badayuni
Jise na meree udaasee kaa kuchh khayaal aayaa
Main us ke husn pe ik roz khaak Daal aayaa
Ye ishq khuub rahaa baavajood milne ke
Na darmiyaan kabhee lamha-e-visaal aayaa
Ishaara karne lage hain bhanvar ke haath hamen
Khoshaa ki phir dil-dariyaa men ishti.aal aayaa
Muravvaton ke samar daaghdaar hone lage
Mohabbaton ke shajar tujh pe kyaa zavaal aayaa
Haseen shakl ko dekhaa khudaa ko yaad kiyaa
Kisee gunaah kaa dil men kahaan khayaal aayaa
Khudaa bachaa.e tasavvuf-gazeeda logon se
Koee jo sher bhalaa sun liyaa to haal aayaa