kyon mujh ko ghanii chhaanv men marne nahiin detaa
— Asad Badayuni
Kyon mujh ko ghanee chhaanv men marne naheen detaa
Kyon dhoop kee sarhad se guzarne naheen detaa
Thaa meree uDaanon se pareshaan jo pahle
Ab mujh ko zameenon pe utarne naheen detaa
Sachchaa.ee kaa jaltaa huaa sooraj miraa dushman
Aankhon men koee khvaab Thaharne naheen detaa
Miltaa naheen ab pahle kee maanind wo lekin
Zanjeer-e-ta'alluq bhee bikharne naheen detaa
Andaaza naheen us ko zamaane kee havaa kaa
Ahvaal bayaan bhee mujhe karne naheen detaa