merii nafrat bhii hai sheron men mire pyaar ke saath
— Asad Badayuni
Meree nafrat bhee hai sheron men mire pyaar ke saath
Main ne likkhee hai ghazal jur.at-e-iz.haar ke saath
Eqtidaar ek taraf ek taraf darveshee
Donon cheezen naheen rah saktee hain fankaar ke saath
Ik khalaa dil men bahut din se makeen hai ab to
Yaad guzraa huaa mausam bhee naheen yaar ke saath
Baadbaanon se ulajhtee hai havaa roz magar
Kashtiyaan soee hain kis shaan se patvaar ke saath
Shahr men jahl kee arzaanee hai lekin ab tak
Main hee samjhauta naheen kartaa huun me.aar ke saath
Mere ash.aar hain naaqid ke liye kuchh bhee naheen
Dard ko main naheen likhtaa kabhee dushvaar ke saath