mirii anaa mire dushman ko taaziyaana hai
— Asad Badayuni
Miree anaa mire dushman ko taaziyaana hai
Isee charaagh se raushan ghareeb-khaana hai
Main ik taraf huun kisee kunj-e-kam-numaa.ee men
Aur ek samt jahaan-daari-e-zamaana hai
Ye taa.eron kee qataaren kidhar ko jaatee hain
Na koee daam bichhaa hai kaheen na daana hai
Abhee naheen hai mujhe maslahat kee dhoop kaa khauf
Abhee to sar pe baghaavat kaa shaamiyaana hai
Miree ghazal men rajaz kee hai ghan-garaj to kyaa
Sukhan-varee bhee to kaar-e-sipaahiyaana hai