patthar paanii ho jaate hain
— Asad Badayuni
Patthar paanee ho jaate hain
Log kahaanee ho jaate hain
Na.e na.e chehre vaale bhee
Baat puraanee ho jaate hain
Ishq kee rut men saare bhikaaree
Raajaa-raanee ho jaate hain
Shaam samay lau ke jhonke bhee
Pavan suhaanee ho jaate hain
Sukh kaa mausam jab aataa hai
Jism bhee paanee ho jaate hain
Sookhe patte ga.ee ruton ke
Na.ee nishaanee ho jaate hain
Ham to us kee baaten sun kar
Paanee paanee ho jaate hain