poshiida kyuun hai tuur pe jalva dikhaa ke dekh
— Asad Badayuni
Posheeda kyuun hai tuur pe jalva dikhaa ke dekh
Ai dost meree taab-e-nazar aazmaa ke dekh
Phoolon kee taazgee hee naheen dekhne kee chiiz
KaanTon kee samt bhee to nigaahen uThaa ke dekh
Letaa naheen kisee kaa pas-e-marg koee naam
Duniyaa ko dekhnaa hai to duniyaa se jaa ke dekh
Dil men hamaare dard zamaane kaa hai nihaan
Paivast dil men saikDon paikaan jafaa ke dekh
Jo baada-khvaar-e-gham hain unhen bhee kabhee kabhee
Saaqee sharaab-e-husn ke saaghar pilaa ke dekh
Ban jaa.egaa kabhee na kabhee dard hee davaa
'as.ad' ke dil men dard kee shiddat baDhaa ke dekh