puuchho agar to karte hain inkaar sab ke sab

Asad Badayuni

Poochho agar to karte hain inkaar sab ke sab Sach ye ki hain hayaat se bezaar sab ke sab Apnee khabar kisee ko naheen phir bhee jaane kyuun PaDhte hain roz shahr men akhbaar sab ke sab Thaa ek main jo shart-e-wafa toDtaa rahaa Haalaanki baa-wafa the mire yaar sab ke sab Socho to nafraton kaa zakheera hai ek dil Karte hain yuun to pyaar kaa iz.haar sab ke sab Zindaan koee qareeb naheen aur na raqs-gaah Sunte hain ik ajiib see jhankaar sab ke sab Maidaan-e-jang aane se pahle palaT ga.e Nikle the le ke haath men talvaar sab ke sab Zehnon men khaultaa thaa jo laavaa wo jam gayaa Maflooj ho ke rah ga.e fankaar sab ke sab