wo aadmii jo tirii aarzuu men martaa hai
— Asad Badayuni
Wo aadmee jo tiree aarzoo men martaa hai
Wo tujh se pyaar naheen khud se ishq kartaa hai
Fazaa men khauf ke parcham buland hote hain
Savaad-e-shaam se lashkar koee guzartaa hai
Miree zameen ke bulaave ghazab ke hain lekin
Koee junoon mire par raat-din katartaa hai
Main apne aap ko ab kis ke chaak par rakkhoon
Shikasta zarf dobaara kaheen sanvartaa hai
Lage hue hain jahaan par visaal ke kheme
Udhar se hijr kaa rahvaar bhee guzartaa hai