ye zinda rehne kaa mausam guzar na jaae kahiin
— Asad Badayuni
Ye zinda rehne kaa mausam guzar na jaa.e kaheen
Ab aa bhee jaao dil-e-zaar mar na jaa.e kaheen
Miraa sitaaraa to ab tak nazar nahin aayaa
Main Dar rahaa huun ki ye shab guzar na jaa.e kaheen
Nadee kinaare khaDaa peD soch men gum hai
Koi bhanvar use barbaad kar na jaa.e kaheen
Parinde apne Thikaanon ko khair se pahunche
Duaa yahee hai ki koi Thahar na jaa.e kaheen
Gilaa bhee khud se hai aur silsila bhee khud se hai
Hamaaree baat idhar se udhar na jaa.e kaheen