kamaal e ishq hai diivaana ho gaya hoon main
— Asrarul Haq Majaz
Kamaal-e-ishq hai deevaana ho gaya hoon main
Ye kis ke haath se daaman chhuDaa raha hoon main
Tumheen to ho jise kahtee hai naakhudaa Dunya
Bachaa sako to bachaa lo ki Doobtaa hoon main
Ye mere ishq kee majbooriyaan ma.aaz-allaah
Tumhaaraa raaz tumheen se chhupaa raha hoon main
Is ik hijaab pe sau be-hijaabiyaan sadqe
Jahaan se chaahtaa hoon tum ko dekhtaa hoon main
Bataane vaale vaheen par bataate hain manzil
Hazaar baar jahaan se guzar chukaa hoon main
Kabhee ye zom ki too mujh se chhup naheen saktaa
Kabhee ye vahm ki khud bhee chhupaa huaa hoon main
Mujhe sune na koee mast-e-baaada-e-ishrat
'majaaz' TuuTe hue dil kee ik sadaa hoon main