saaraa aalam gosh bar awaaz hai
— Asrarul Haq Majaz
Saaraa aalam gosh-bar-awaaz hai
Aaj kin haathon men dil kaa saaz hai
Too jahaan hai zamzama-pardaaz hai
Dil jahaan hai gosh-bar-awaaz hai
Haan zaraa jur.at dikhaa ai jazb-e-dil
Husn ko parde pe apne naaz hai
Ham-nasheen dil kee haqeeqat kya kahoon
Soz men Duubaa huaa ik saaz hai
Aap kee makhmoor aankhon kee qasam
Meree mai-khvaaree abhee tak raaz hai
Hans diye wo mere rone par magar
Un ke hans dene men bhee ik raaz hai
Chhup ga.e wo saaz-e-hastee chheD kar
Ab to bas awaaz hee awaaz hai
Husn ko naahaq pashemaan kar diyaa
Ai junoon ye bhee koee andaaz hai
Saaree mahfil jis pe jhuum uTThee 'majaaz'
Wo to awaaz-e-shikast-e-saaz hai