ek diye ne sadiyon kya kya dekhaa hai batlaae kaun
— Aziz Bano Darab Wafa
Ek diye ne sadiyon kya kya dekhaa hai batlaa.e kaun
ChhoDo agle vaqton ke qisse phir se dohraa.e kaun
Ab bhee khaDee hai soch men Duubee ujyaalon kaa daan liye
Aaj bhee rekhaa paar hai raavan siitaa ko samjhaa.e kaun
Apna apna aasan chhoD ke har moorat uTh aa.ee hai
Sone kee deevaaron men rah kar paathar kahlaa.e kaun
Jis ne diye kee kaalak ko bhee maathe kaa sindoor kiyaa
Apne ghar kee us deevaar se apna bhed chhupaa.e kaun
Jaane kitne raaz khulen jis din chehron kee raakh dhule
Lekin saadhoo-santon ko dukh de kar paap kamaa.e kaun
Ek nayaa sapnaa bantaa hai aur ban kar is soch men hai
Sadiyon se aapas men uljhe dhaagon ko suljhaa.e kaun
Ab bhee buzurgon kee baaten sun kar achchhaa to lagtaa hai
Par in girtee deevaaron se apnee piiTh lagaa.e kaun