hataa ke mez se ik roz aaiina main ne
— Aziz Bano Darab Wafa
HaTaa ke mez se ik roz aa.eena main ne
Phir apne-aap se rakkhaa na vaasta main ne
Jab apne-aap se pahchaan apnee kho ke milee
To khud hee kaaT diyaa apna raasta main ne
Main kam-sinee men bhee guDiyaa kabhee naheen khelee
Palon men tai kiyaa barson kaa faasla main ne
Charaagh hoon mujhe jab dhoop raas aa na sakee
To khud sikoD liyaa apna daa.era main ne
Main apne aap men hoon yaa naheen, kabhee apna
Kisee ko Thiik bataayaa naheen pata main ne
Ajiib kya jo bikheraa naheen sameT ke phir
Tamaam umr umeedon kaa silsila main ne